suno, kuch baatein adhoori rehne do
mann bhara rehta hai
takalluf se sochne do
baarish ki boondo ko ginne do
harr boond mein samai tumhare yaado ko
sulagne do
aayine mein khud ko tumhare liye
niharne do
bikhre mann ko aur bikharne do
dil hi dil mein muskuraane do
bechaini mein tadapne do
kuch baatein adhoori rehne do
shabdo ko piroh nahi rahi
aashao ko bataur nahi rahi
sambhalna nahi chahti
girne do.. fisalne do
kuch baatein adhoori rehne do
intzaar mein kiske
khidki par baithi hu kal se
kiske pasandeeda rang se
khud ko sanwara hai
kyu kisi ke liye
gam bhi cheeni sa chakh liya
taareekhein aakhir kiske liye gin rahi hu
ye sab chodo
kuch baatein adhoori rehne do
This is a special, very special dedication to PACH. Mainly cos we all keep waiting for the next session and the waiting is always worth. Yes, I have said it many times but I dont mind saying it again- PACH is the best gift I have ever received.
Picture Courtesy- Hardik Photography
Picture Courtesy- Hardik Photography