kya hua agar
pyaar thoda zyada kar liya
kya hua agar
zarurat se tumhe kuch zyada chu lia
aaj toh sunday hai na
dhoodh ki jagah pyaar pilayenge
wo bhi ubaal ubaal kar tumhe chadhayenge
kya hua agar
narazagi mein shikhayatein ghol di
kya hua agar
yuhi do chaar baatein thodi teekhi boldi
aaj toh sunday hai na
baaton ko mirchi banake jalayenge
fir upar se maafi ki mithas chakhayenge
kya hua agar
sach ke saath thoda jhooth bhi bol dia
kya hua agar
besabar hoke thoda gussa bhi kar dia
aaj toh sunday hai na
sachi jhoothi baatein dono saath parosenge
farak pehechanne ki poori chhot tumhe denge
kya hua agar
aaj khud ko thoda zyada sanwaar lia
kya hua agar
baalo ko do baar dho lia
aaj toh sunday hai na
itminaan se sajke tumhse duur rahenge
bas tumhari aankho mein khatkenge
kya hua agar
tumhare dost ko darwaze se hi bhaga dia
kya hua agar
agli baar khatkhatane par darwaza hi nahi khola
aaj toh sunday hai na
darwaze ko andar se taala lagake
tumhe apne aabroo mein band karenge
kya hua agar
bahut paas tumhare baith liye
kya hua agar
ghoor ghoor ke mann bharte chale gaye
aaj toh sunday hai na
nazro se khoob khel khelenge
ankahi adhoori baatein sabki guftagoo karenge
kya hua agar
mann ke chilmann ne bhagwaan tumhe maan lia
kya hua agar
tumhari chaukhat ko maathe se laga lia
aaj toh sunday hai na
ek din toh mitti ki murat ko bhulane do
mandir ke bhagwan ko chutti dekar aai hu
kya hua agar
nakhre aaj thode zyada kar liya
kya hua agar
tumhara haath thaamke raat ko paidal thoda zyada chal liye
aaj toh sunday tha na
agle sunday tak tumhe bechain karke jayenge
kuch samaan nahi
bas yaadein idhar udhar rakhke jayenge
bataurte rehna
ab agle sunday ka intzaar karte rehna