yaha akele hoke bhi koi akela nahi
aur kisi ke saath hoke bhi koi akela hi
yaha imaaraton mein ishq gunjata hai
aur ishq ki goonj mein imaratein basti hain
yaha kisi ke saath sinjoye sapne udaan bhar le jate hain
aur kahi gumnaan raasto ke sapne kahi kho jate hain
yaha umeed ki fankaar duur tak sunai de jaye
aur kabhi haar ka bhi tyohaar manaya jaye
yaha ghalib ki galiyon mein pyaar panapta hai
aur hazrat auliya ke dargah mein namaaz goonj uthti hain
yaha begum samru ke ghar mein bank basta hai
aur wahi kahi ishq ka nyota kisi ke kaano mein kasta hai
yaha raatein aaj bhi zinda hain kothe ki seedhiyon pe
aur andhero mein koi nadi kinaare aaj bhi deep jala jata hai
yaha naya purana sab raas rachta hai
aur rango ke aanchal mein muhobbato ka junoon sajta hai
yaha baarisho ka mijaaz shabdo mein bayan nahi hota
aur sard aahton ki kampan aag ki sulkhiyo mein dabi reh jati hain
yaha subhah aur raat ka dayra kisi ko samajh nahi aata
aur beparvaah pyaar ke parvaano ko koi samajh nahi pata
ye raag hai, ye deewanagi hai
ye dilli hai
Picture Courtesy- Hardik Photography