Deep Thought

"A man would do nothing, if he waited until he could do it so well that no one would find fault with what he has done"
- Cardinal Newman

Tuesday, September 3, 2013

Dil dhoondta hai..

kitni raatein beet gayi
gin rahe ho na tum? 
mere haalato pe haste hoge na tum?
par aaj bhi
dil dhoond raha hai
un rangeen raato ko
fir un taaro ko

sheeshe mein dekh itminaan se
sochte hoge na?
haule haule bikhar rahi hu? 
par aaj bhi
dil bataur raha hai
toote hisso ko
aage badhne ki chah ko

baarish ki boondo se nafrat ho gayi hogi? 
kyu? harr boond yaad dilati hai meri? 
darwaza band karke duniya se bekhabar ho jate hoge? 
par aaj bhi
baarish ko utna hi sarahti hu main
tumhari nahi
jeene ki yaad dilati hain ye boonde

in sardiya bhi haath garam the tumhare? 
ya bistar ki silvato mein dhoond rahe the mujhe? 
fir razai aansuo se geeli ki hogi? 
par aaj bhi
mann mazboot kar rakha hai
dekha? sardiya bita li na tumhare bina

haan, kabhi kabar
dil intzaar karta hai darwaze ki chaukhat par
bechain hota hai 
fir ladkhadane chahta hai
yaado mein doobne ka bhi jee karta hai
par aaj bhi
dil tumhare bina saans le raha hai
par aaj bhi
dil dhoondh raha hai
tumhe nahi.. kisi aur ko
kyunki dil fir pyaar mein padna chahta hai

Picture Courtesy- Hardik Photography

8 comments:

  1. beautiful as always .. i love the hopeful spirit in this post :)

    ReplyDelete
  2. & yet another something which takes 1 to nostalgia as if watching an old romantic classic :D
    Gotto admit finally,i am loving the hindi side of Aavika Rowlings a bit more :))

    ReplyDelete
  3. "ye duniya ka asool hi kafi ajeeb hai, dukho wali raat neend nhi aati, aur khushi wali raat sota kaun hai"

    ignore it :P

    must say, the hindi side is shaping very nicely !
    keep it up :-)

    ReplyDelete
  4. yun harr baar ghumshuda ho jaati hun tere lafzon mei mai jaise
    kahin aur kabhi aur jiya ho maine bhi inhe teri tarha
    yun har baar ayine si lagti hain siyahi mei dhali lakeerein jaise
    kahin aur kabhi aur kaghazon pe piya ho maine bhi inhe teri tarha
    ye jo dabi si raushni ke peeche hasti ho toh nazar jaalsaaz nahi aogi
    tum bhi na aavika apni harkaton se baaz nahi aogi

    ReplyDelete
  5. @Nimue
    am so glad you appreciated. coming that from you, just means so much!
    hope... amazing thing no?
    thanks for comment! :)

    ReplyDelete
  6. @Hardik
    'Romance' is my genre, which am sure you know that by now :D
    aah!! you like the Hindi side more? I love Hindi more than English :D
    thanks for comment! :)

    ReplyDelete
  7. @Jagpreet
    wah wah! a shayeri cum comment, what else do I need from life? :D

    shukriya shukriya!

    ReplyDelete
  8. @Rida
    baaapp reeee!!! kya comment dala hai! dil jeet liya aapne! poori tarah!

    You are the inspiration re. :P
    what a comment! matlab.. speechless ho gayi main.
    thank you sooo soo much :* <3

    ReplyDelete