Deep Thought

"A man would do nothing, if he waited until he could do it so well that no one would find fault with what he has done"
- Cardinal Newman

Friday, October 11, 2013

aaj toh sunday hai na..

kya hua agar 
pyaar thoda zyada kar liya
kya hua agar
zarurat se tumhe kuch zyada chu lia
aaj toh sunday hai na
dhoodh ki jagah pyaar pilayenge
wo bhi ubaal ubaal kar tumhe chadhayenge

kya hua agar
narazagi  mein shikhayatein ghol di
kya hua agar
yuhi do chaar baatein thodi teekhi boldi
aaj toh sunday hai na
baaton ko mirchi banake jalayenge
fir upar se maafi ki mithas chakhayenge

kya hua agar
sach ke saath thoda jhooth bhi bol dia
kya hua agar
besabar hoke thoda gussa bhi kar dia
aaj toh sunday hai na
sachi jhoothi baatein dono saath parosenge
farak pehechanne ki poori chhot tumhe denge

kya hua agar
aaj khud ko thoda zyada sanwaar lia
kya hua agar
baalo ko do baar dho lia
aaj toh sunday hai na
itminaan se sajke tumhse duur rahenge
bas tumhari aankho mein khatkenge

kya hua agar
tumhare dost ko darwaze se hi bhaga dia
kya hua agar
agli baar khatkhatane par darwaza hi nahi khola
aaj toh sunday hai na
darwaze ko andar se taala lagake
tumhe apne aabroo mein band karenge

kya hua agar
bahut paas tumhare baith liye
kya hua agar
ghoor ghoor ke mann bharte chale gaye
aaj toh sunday hai na
nazro se khoob khel khelenge
ankahi adhoori baatein sabki guftagoo karenge

kya hua agar
mann ke chilmann ne bhagwaan tumhe maan lia
kya hua agar
tumhari chaukhat ko maathe se laga lia
aaj toh sunday hai na
ek din toh mitti ki murat ko bhulane do
mandir ke bhagwan ko chutti dekar aai hu

kya hua agar
nakhre aaj thode zyada kar liya
kya hua agar
tumhara haath thaamke raat ko paidal thoda zyada chal liye
aaj toh sunday tha na
agle sunday tak tumhe bechain karke jayenge
kuch samaan nahi
bas yaadein idhar udhar rakhke jayenge
bataurte rehna
ab agle sunday ka intzaar karte rehna

16 comments:

  1. Aavika Dhanda, yeh zabardast hai ! Iske upar dhun bhi ban sakti hai ... Mujhe yeh bahut achi lagi, bahut, bahut, bahut achi ! Kamaal Kar diya, tumne.

    ReplyDelete
    Replies
    1. arre dii! itni tareeef!! i wish you were there hwne I was reciting it! really :) next time !
      waah! dhun sunana please jo aapne banai ! :)

      Delete
  2. Aweeekaa!! Ye chori karne wali poem hai!! Agar main ladki hota to zaroor kar leta :P Too Good!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. haha! aap ladke hokar bhi kar sakte ho :P koi aitraaz nahi :)

      Delete
  3. Also the way you recite it. SoundCloud it!

    ReplyDelete
    Replies
    1. yippeee ! I love reciting it to pach! :) especially to you ^_^

      Delete
  4. Kya hua agar
    Aaj na mil pae hum,
    Kya hua agar
    Antim chan me - kal milenge- kah diya,
    Aaj to friday hai na
    Kavita ki jagah dil apna sunaege
    Armaan apne kano me fus-fusaenge tumhare

    Kya hua agar
    2 hi chal-chitra di tumhe,
    Agli baar baki bhi denge tumhe,
    Akele nahi, sath bethkar dekhenge
    Muskuraenge, hasenge aur
    Thode asru bhi pochenge tumhare
    Aur fr sath me bolenge
    Aaj to saturday hai na..|

    ReplyDelete
    Replies
    1. accha accha theek hai.
      ja maaf kiya aaj na aane ke liye. itna accha poem likhega toh koi bhi maan jayega.
      chal aaja jaldi :D
      P.S- mujhe manana kitna aasan hai!

      Delete
  5. Pocho bhi mat how much I loved this poem :) Rula hi diya tha isne and the way you recited ....ufff....just sound cloud it sahi mein :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you diii!!! I love you soooo sooo much! bas itna roya mat karo :P
      Sound cloud! :O

      Delete
    2. Sound cloud is a site where you upload self recordings :D So record karoo isse and upload :D

      Delete
    3. accha accha. navin bhaiya told me about this a day back. I shall try ^_^ soon! thank youu!

      Delete
  6. Awwvika tum sach mein speechless kar deti ho. Pratibha recited the poem when we were driving towards Moorthal and I so much wished to hear one more time from you.

    Brilliant.

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you sooo soo much!!!! itna accha lagta hai jab aap sab log itna appreciate karte hain! :) aur likhne ka mann karta hai fir.. aapko pakka sunaungi time milte hi! vaada raha!

      Delete